jo baat ho gayi hai to baat na badhao
rukhsat karo ye ranjish aao karib aao
hakikat hai hakikat se nahi inkar karti hu

ke mai tumse bas tumse tumhi se pyar karti hu

tamanna ek hai dil me tujhe apna banane ki

kisi sach ko nahi hoti zarurat kasam khane ki
aji sunlo dil-e-jazbat ka izhar karti hu
ke mai tumse bas tumse tumhi se pyar karti hu
hakikat hai hakikat se nahi inkar karti hu
nahi darta zamane se ye aaj ikrar karta hu

ke mai tumse bas tumse tumhi se pyar karta hu

zamane ka hai kya ke kab kisi ko ras aata hai

irade nek ho gar to khuda bhi maan jata hai
ye ailane mohobat hai sare bazar karta hu
ke mai tumse bas tumse tumhi se pyar karta hu
nahi darta zamane se ye aaj ikrar karta hu
phulo ka guma hota hai tere muskurane se

mahak si fail jati hai zara nazdik aane se
nasha chha jaye hai jab tumse aankhe char karti hu
ke mai tumse bas tumse tumhi se pyar karti hu
ke mai tumse bas tumse tumhi se pyar karta hu
tumhi se pyar karti hu tumhi se pyar karta hu