hey dukhbhanjan kaato bandhan
daya karo mahamaya, kar aanchal ki chhaya
hey dukhbhanjan kaato bandhan
hey dukhbhanjan kaato bandhan
daya karo mahamaya, kar aanchal ki chhaya
kar aanchal ki chhaya
din jano ke met le dukh ko
kar de daya tu, mod na mukh ko
teri sharan me aayi daasi
taj ke jivan ke har sukh ko
pag se apne mujhko laga le
pag se apne mujhko laga le
kundan kar do kaay, kar aanchal ki chhaya
maa kar aanchal ki chhaya
palchhin me ye duniya taari
aayi na ab tak meri baari
kab taarogi mujhko daatri
manwa mera dukh se bhari
tujh bin mujhko, hey vardaatri
tujh bin mujhko, hey vardaatri
aur na koi bhaya, kar aanchal ki chhaya
maa kar aanchal ki chhaya
mera ghar aangan mahka do
saaf karo mere gham ka jaala
mere andhiyare jivan me
kar do maiya ji ujiyala
mere ghar par sada banaye
mere ghar par sada banaye
rakhna apna saya, kar aanchal ki chhaya
maa kar aanchal ki chhaya
ro ro kar ab to maiya ji
sukh gaye hai mere naina
tere darshan ke bin ambe
ab aayega na mujhe chaina
teri tu hi jane maiya
teri tu hi jane maiya
kya hai teri maya, kar aanchal ki chhaya
maa kar aanchal ki chhaya
kar aanchal ki chhaya
maa kar aanchal ki chhaya
kar aanchal ki chhaya
maa kar aanchal ki chhaya