purv disha se ugane waale suraj gagan bihaari 
aaj maangati madad tumhaari ek suhaagan naari 
he kirno ke raja 
he kirno ke raja na karo aaj savera 
tum aaye to hoga mere jiwan me 
he kirno ke raja na karo aaj savera 
tum aaye to hoga mere jiwan me
he kirno ke raja
ye binti suno aansu bhari ek sati ki
the din pati raksha karo ab mere pati ki 
sah bal ki hai ye punya pariksha nahi chhoti 
sat bal ki hai ye punya pariksha nahi chhoti
ye meri kasauti hai tumhari bhi kasauti 
parbhu nyay karo nyay ko anyay ne ghera
tum aaye to hoga mere jiwan me andhera 
he kirno ke raja
saugandh hai tumko mere nirmal suhag ki
mere pavitar prem ki seva ki tyag ki
aayi jo kahi jyoti idhar pahli kiran ki
aayi jo kahi jyoti idhar pahli kiran ki
ho jayega itihas tumhara bhi kalnki
dekho lute na chhota sa sansar ye mera
tum aaye to hoga mere jiwan me andhera
he kirno ke raja
tum apne rath ko rok lo is par na aana
nirdosh ki chhaati pe nahi rath ko chalaana
saubhagya ke sindur ki hatya na karo tum
saubhagya ke sindur ki hatya na karo tum
nari ke khun se na savere ko rango tum
bas aaj ke din mat karo aakash ka phera
tum aaye to hoga mere jiwan me andhra
naa karo aaj savera naa karo savera
jag lut jaayega mera naa karo savera 
mujhe ek shraap ne ghera naa karo savera 
pati chhin jaayega mera naa karo savera  
naa karo savera, naa karo savera
