Video of this song from youtube
Lyrics of Ho Aaj Majhab Koyee Ek Aisa Naya - हो आज मज़हब कोई एक ऐसा नया
ho aaj majhab koi ek aisa naya
aaj majhab koi ek aisa naya dosto is jahan me chalaya jaye
ho aaj majhab koi ek aisa naya, dosto is jahan me chalaya jaye
jisme insan insan banke rahe
jisme insan insan banke rahe, aur gulshan ko gulshan banaya jaye
o aaj majhab koi ek aisa naya
o aaj majhab koi ek aisa naya, dosto is jahan me chalaya jaye
ho aaj majhab koi ek aisa naya
ho aaj majhab koi ek aisa naya, dosto is jahan me chalaya jaye
jisme insan insan banke rahe aur gulshan ko gulshan banaya jaye
o aaj majhab koi ek aisa naya, dosto is jahan me chalaya jaye

jisase badhakar koi kitab nahi, are jiska milta koi jawab nahi
umrr bhar chadh kar jo nahi utare, woh nasha hai magar sharab nahi
use pyar jamana kehta hai, uska divana rehta hai
yeh aisa hai rangin nasha, yeh jitna chadhe utna hi maja
yeh jitna chadhe utna hi maja, yeh jitna chadhe utna hi maja
hontho pe gulab yahi toh hai, aankho me khwab yahi toh hai
galo pe shabab yahi toh hai, ghunghat me hijab yahi toh hai
hontho pe gulab, aankho me khwab, galo pe shabab, ghunghat me hijab
yahi toh hai, yahi toh hai, yahi toh hai, yahi toh hai
isako paya mira ne, isako hi gaya kabira ne
o har ruh ki aawaj hai ye, sabse sundar sajh hai yeh
jis se roshan padosi kaa aangan rahe
jis se roshan padosi kaa aangan rahe, woh diya har ghar me jalaya jaye
jisme insan insan banke rahe, aur gulshan ko gulshan banaya jaye
aaj majhab koi ek aisa naya
aaj majhab koi ek aisa naya, dosto is jahan me chalaya jaye

yeh chhav bhi hai aur dhup bhi hai, rup bhi hai aur anup bhi hai
yeh shabnam bhi angaar bhi hai, yeh megh bhi hai malhar bhi hai
are isame duniya ki jawani hai, yeh aag ke bhitar pani hai
yeh ruh kaa ek sarovar hai, katare me ek samandar hai
katare me ek samandar hai, katare me ek samandar hai
isame duniya ki jawani hai, yeh aag ke bhitar pani hai
yeh ruh kaa ek sarovar hai, katare me ek samandar hai
shayar kaa hasin tasavvur hai, sangit kaa ek svayamvar hai
shayar kaa hasin tasavvur hai, sangit kaa ek svayamvar hai
yeh sabko sab kuchh deta hai aur badle me badle me badle me
bas dil leta hai dil leta hai, dil dil dil
dil dil leta hai dil leta hai, iska jo karam aaj ho jaye,
iska jo karam aaj ho jaye, toh yeh mehfil bhi jannat si ho jaye
toh yeh mehfil bhi jannat si ho jaye
iska jo karam aaj ho jaye, iska jo karam aaj ho jaye
toh yeh mehfil bhi jannat si ho jaye
jisme insan insan banke rahe
jisme insan insan banke rahe, aur gulshan ko gulshan banaya jaye
aaj majhab koi ek aisa naya
aaj majhab koi ek aisa naya dosto is jahan me chalaya jaye
dosto is jahan me chalaya jaye, dosto is jahan me chalaya jaye
lyrics of song Ho Aaj Majhab Koyee Ek Aisa Naya
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Censor (2001)
Dev Anand, Hema Malini, Rekha, Amrish Puri, Jackie Shroff, Govinda, Heenee Kaushik, Johny Lever, Mamta Kulkarni, Tara Deshpande, Mohini Sharma, Vinay Anand, Shammi Kapoor, Mink, Archana Puran Singh, Raj Babbar, Shivaji Satam, Adi Irani, Anjan Srivastava, Anil Nagrath, Reema Lagoo, Suniel Shetty, Sharad Kapoor, Aruna Irani, Ayesha Jhulka, Pooja Batra, Smita Jaykar, Mukul Dev, Govind Namdeo, Amar Upadhyay, Randhir Kapoor, Mukesh Khanna, Rajit Kapoor, Shoeb Khan, Ramesh Bhatkar, Dolly Bindra, FarahAlka Yagnik, Lata Mangeshkar, Jaspinder Narula, Sonu Nigam, Kavita Krishnamurthy, Roop Kumar Rathod, Vinod Rathod, Vijeta Pandit, Kumar Sanu, Udit NarayanNeeraj, Vinoo MahendraJatin LalitDev AnandDev AnandCensor at IMDB      Censor at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type