hosh ke sahil pe mujhko ab naa aane dijiye

aaj to bas mastiyo me aaj to bas mastiyo me
doob jane dijiye

aap ko bhi hai khabar ye kya nashila daur hai

aaj ka ye khushnuma maahol hi kuch or hai
chandni me husn ki ho chandni me husn ki
jee bhar nahane dijiye
hosh ke sahil pe mujhko ab naa aane dijiye
khushbuo ki ghum kar aisi lagadi ye ghadi

main karu mahsus kya hai jindagi ki ye ghadi
reshmi zulfo ko mujhpar reshmi zulfo ko mujhpar
aaj chhane dijiye
hosh ke sahil pe mujhko ab naa aane dijiye
aaj aanchal ki naa koi beech me deewar ho

har adaa me aaj bas ikraar hi ikraar ho
khud ko khokar aaj mujhko khud ko khokar aaj mujhko
kuch to paane dijiye