kahi mangni ki bate hai kahi shadi ka charcha hai
magar andar hi andar se hamara dil ye kahta hai kya
hum bhi kash kunware hote hum bhi kash kunware hote
duniya bhar me jitne hansi hai sabki nazar me pyare hote
hum bhi kash kunware hote hum bhi kash kunware hote
hume bhi husn walo ki hajaro chithiya aati
kai photo bhi aate sath unke arjiya aati
koi likhta mere pyare mujhe tumse mohabbat hai
koi likhta mujhe tum jaise sohar ki jarurat hai
koi likhta ke meri mad bhari aankhe nshili hai
koi likhta ke zulfe meri paune tin gaj ki hai
koi afsana likhta aashiq ki pahli manjil ka
to koi bhejta kagaj par naksha phek kar dil ka
kaisi kaisi bahare aati kaise kaise nazare hote
hum bhi kash kunware hote hum bhi kash kunware hote
hui hai jabse shadi pad gaye hai hum to mushkil me
kahe kisse tadapti hai hajaro hasrate dil me
mohabbat ka koi nagma zuba par la nahi sakte
kisi rangin mehfil me akele ja nahi sakte
kisi ke husn ki tarif bhi hum kar nahi sakte
kisi dil phenk shayar ki gajal bhi hum padh nahi sakte
kisi ko aankh uthakar dekhna bhi ab kayamat hai
khabar ho jaye biwi ko to phir samjho hajamat hai
ghar me na hoti biwi to yaro hum bhi kahi dil hare hote
hum bhi kash kunware hote hum bhi kash kunware hote
duniya bhar me jitne hansi hai sabki nazar me pyare hote
hum bhi kash kunware hote hum bhi kash kunware hote
Film cast: Vijay Kumar, Sayeeda Khan, Helen, Manorama, Nazir Hussain, Johny
Walker, Shammi, Anwar Hussan, Dulari, N A Ansari
Singer: Asha Bhosle, Mohammed Rafi, Talat Mahmood
Lyricist: Shakeel Badayuni
Music Director: Ravi
Film Director: N A Ansari