hum hawa me bhi charag apna jala lete hai
hum hawa me bhi charag apna jala lete hai
dil jise chahe use apna bana lete hai
dil jise chahe use apna bana lete hai
hum hawa me bhi charag apna jala lete hai
ha ji jala lete hai
bekhata hoke bhi iljame wafa lete hai
bekhata hoke bhi iljame wafa lete hai
hum charago ko nahi dil ko jala lete hai
hum charago ko nahi dil ko jala lete hai
bekhata hoke bhi iljame wafa lete hai
ha ji wafa lete hai
julm ko aaina dikhana hai
zehar ko zehar maar deta hai
zehar ko zehar maar deta hai
maar deta hai
hoke mauys khelne wala
jeetkar bhi to haar deta hai
jeetkar bhi to haar deta hai
haar deta hai
raahe ulfat me badh gaya hai kadam haye
raahe ulfat me badh gaya hai kadam haye
ab ye roke se ruk nahi sakta
ruk nahi sakta, ruk nahi sakta ji
ruk nahi sakta, ruk nahi sakta
aise khuddar hai ke apna sar
kat to sakta hai jhuk nahi sakta
aise khuddar hai ke apna sar
kat to sakta hai jhuk nahi sakta
shisha najuk hai to
sau baar bala se tute
hum to patthar se bhi aaina bana lete hai
hum to patthar se bhi aaina bana lete hai
hum hawa me bhi charag apna jala lete hai
ha ji jala lete hai
bolna julm to nahi lekin
khamoshi me bhi jaan hoti hai
jaan hoti hai ji, jaan hoti hai
ha ji ha ji are jaan hoti hai
sare gulshan ki aabru hokar
har kali bejuban hoti hai
har kali bejuban hoti hai
haale dil aaj shikar ho jata
yu jo rudade gham baya hoti
haale dil aaj shikar ho jata
yu jo rudade gham baya hoti
ya to dil hi labo pe aa jata
ya mere dil me bhi juba hoti
ya to dil hi labo pe aa jata
ya mere dil me bhi juba hoti
aarzu ki koi aawaz na, na koi surat
aur ho bhi to use dil me chhupa lete hai
aur ho bhi to use dil me chhupa lete hai
bekhata hoke bhi iljame wafa lete hai
ha ji wafa lete hai
hum hai mukhtar apni marji ke
aarzu ka bhram nahi lenge
bhram nahi lenge
maangne se agar mile jannat
aisi khairat hum nahi lenge
aisi khairat hum nahi lenge
hum nahi lenge
ho ab humara pasand hai apni haye
ab humara pasand hai apni haye
kaun humse najar milata hai
kaun humse najar milata hai ji
kaun humse najar milata hai
apni jurat pe naaz karte hai
chhin lena bhi humko aata hai
apni jurat pe naaz karte hai
chhin lena bhi humko aata hai
chasme saki se ijajat ki jarurat kya hai
jinme himmat hai wo paimana utha lete hai
jinme himmat hai wo paimana utha lete hai
hum hawa me bhi charag apna jala lete hai
ha ji jala lete hai
kijiye lakh masle roshan
phir bhi nure sahar nahi banta
nahi banta hai ji, nahi banta hai
ha ji ha ji nahi ji nahi banta
dard badhkar dawa to hota hai
aeb lekin hunar nahi banta
aeb lekin hunar nahi banta
saya pani me tairta hai magar
koi dhabba najar nahi aata
saya pani me tairta hai magar
koi dhabba najar nahi aata
ek rukh aaine ka ye bhi hai
jisme chehra najar nahi aata
ek rukh aaine ka ye bhi hai
jisme chehra najar nahi aata
justju charagaro ki na hume marham ki
phir chubhte huye teero ka maja lete hai
phir chubhte huye teero ka maja lete hai
bekhata hoke bhi iljame wafa lete hai
bekhata hoke bhi iljame wafa lete hai
hum charago ko nahi dil ko jala lete hai
hum charago ko, hum charago ko
hum charago ko nahi dil ko jala lete hai
bekhata hoke bhi iljame wafa lete hai