hum to barbad hue, ab koi aabad rahe
hum to barbad hue, ab koi aabad rahe
aashiya tut gaya, khush mera saiyad rahe

jo jalata hai kisi ko, wo bhi jalta hai jarur

aag parwane ki kahti hai, shama yaad rahe

hum sitam sahne ko aaye hai, sitam sah lenge

unse kah do ke na baki koi, bedad rahe
unse kah do ke na baki koi, bedad rahe
hum to darte hai mukaddar, tere ahsano se

lakh nashad hai is gham se to, aazad rahe

hum to barbad hue