ham to chale apne gaon, ham to chale apne gaon
sabko mera ram ram, bolo bhai ram naam
radhe shyam, ram radhe shyam
dur hua man ka andhera, aaj jivan mein jaaga sawera

tut raha praano ka ghera, hamne dhundh liya apna basera
aur sabhi jhuthe naam, sacha ek ram naam
bolo bhai ram naam, radhe shyam ram radhe shyam
ham to chale apne gaon, sabko mera ram ram

sath ham jo tumhare rahe the, bol kadwe aur mithe sahe the

ye ahsaan ham par tumhara
jo hans hans ke tumne sahe the
do dino ki dhum dham, jindagi ki hui sham
bolo bhai ram naam, radhe shyam ram radhe shyam
der kaise sahe pal bhar ki, hame laagi lagan us ghar ki

dekho bansi pukare natwar ki, dekho bansi pukare natwar ki
chhavi chhayi hai brij ke dagar ki, bolo shyam aatho yaam
rato shyam shyam shayam, bolo bhai ram naam
radhe shyam ram radhe shyam