Lyrics of Hume To Lut Liya Mil Ke Husn Walo Ne - हमें तो लूट लिया मिल के हुस्न वालों ने
hume to lut liya mil ke husn walo ne
kale kale balo ne gore gore galo ne
hume to lut liya mil ke husn walo ne
kale kale balo ne gore gore galo ne
nazar me shokhiya aur bachpana shararat me
adaye dekh kar hum fas gaye mohabbat me
hum apni jaan se jayenge jinki ulfat me
yakin hai ke na aayenge wo hi mayit me
khuda sawal karega agar kayamat me
to hum bhi kah denge hum lut gaye sharafat me
hume to lut liya mil ke husn walo ne
kale kale balo ne gore gore galo ne
wahi wahi pe kayamat ho wo jidhar jaye
jhuki jhuki nazro se kam kar jaye
tadapta chhod de raste me aur gujar jaye
sitam to ye hai ki dil le le aur mukar jaye
samjh me kuch nahi aata ke hum kidhar jaye
yahi irada hai ke ye kah ke hum to mar jaye
hume to lut liya mil ke husn walo ne
kale kale balo ne gore gore galo ne
wafa ke naam pe mara hai bewafao ne
ke dam bhi humko na lene diya jafao me
khuda bhula diya in husn ke khudao ne
mita ke chhod diya ishq ki khatao me
udaye hosh kabhi julf ki hawao ne
khayale naz ne luta kabhi adao ne
hume to lut liya mil ke husn walo ne
kale kale balo ne gore gore galo ne
hajar lut gaye nazar ke ek ishare par
hajaro bah gaye tufan banke dhare par
na inke wado ka kuch thikana hai na bato ka
fasana hota hai inka hajar rato ka
bahut hasin hai vaise to bholpan inka
bhara hua hai magar zahar se badan inka
ye jisko kat le wo pani pi nahi sakta
dava to kya hai duva se bhi ji nahi sakta
inhi ke mare hue hum bhi hai zamane me
hai char labaz mohabbat ke is fasane me
hume to lut liya mil ke husn walo ne
kale kale balo ne gore gore galo ne
hume to lut liya mil ke husn walo ne
kale kale balo ne gore gore galo ne
zamana inko samjhata hai nek bharmaasu
magar ye kahte hai kisi ko kya hai malum
inhe na tir na talwar ki jarurat hai
shikar karne ko kafi nigahe ulfat hai
hasin chal se dil paymal karte hai
nazar se karte hai bate kamal karte hai
har ek bat me matlab hajar hote hai
ye sidhe sadhe bade hoshiyar hote hai
khuda bachaye hasino ki tez chalo se
pade kisi ka bhi na pala husn walo se
hume to lut liya mil ke husn walo ne
kale kale balo ne gore gore galo ne
hume to lut liya mil ke husn walo ne
kale kale balo ne gore gore galo ne
husn walo me mohabbat ki kami hoti hai
chahne walo ki takdir buri hoti hai
unki bato me banawat hi banawat dekhi
sharam aankho me nigaho me lagawat dekhi
aag pahle to mohabbat ki laga dete hai
apne rukhsar ka diwana bana dete hai
dosti karke phir anjan nazar aate hai
sach to ye hai ke beiman nazar aate hai
maut se kam nahi duniya me mohabbat inki
zindagi hoti hai barbad badaulat inki
din baharo ke gujarte hai magar mar mar ke
lut gaye hum to hasino pe bharosa karke
hume to lut liya mil ke husn walo ne
kale kale balo ne gore gore galo ne
Any one can say with proud that we men not been robbed by beautiful women.
Those people who does not agree with my opinion, either they are even
angles or they hate women in all sorts. Thanks.