humne sari duniya chhodi
ghar chhod aur galiya chhodi
tere liye hum to ho gaye badnam sanvariya
fir bhi honto pe rahat hai tera hi naam sanvariya
prit laga ke humne kya fal paya
kya fal paya
nind gavai humne chain gavaya chain gavaya
aansu bahate rahe hai subh aur sham sanvariya
tere liye hum to ho gaye badnam sanvariya
humko na samjho ki aajad huye hum
ishk me tere barbad huye hum
socha tha kya mahobbat ka yahi anjam sanvariya
tere liye hum to ho gaye badnam sanvariya
ban ban dolu piya ban ke joganiya
ban ke joganiya
gali gali ghumu teri banke diwaniya
banke diwaniya
tujhko dekhe bina milta nahi aaram sanvariya
tere liye hum to ho gaye badnam sanvariya
kismat se majbur huye hum
pas bhi rah ke kitne dur huye hum
karmo ke lekh ne humko kiya nakam sanvariya
tere liye hum to ho gaye badnam sanvariya