ham ne suna tha ek hai bharat
sab mulkon se nek hai bharat
lekin jab nazdeek se dekha
soch samajh kar theek se dekha
hamne nakshe aur hi paye
badle huye sab taur hi paye
ek se ek ki bat juda hai
dharm juda hai jaat juda hai
apne jo kuch hamko padhaya
wo to kahi bhi nazar na aaya
jo kuch maine tumko padhaya
usme kuch bhi jhoot nahi
bhasha se bhasha na mile to
iska matlab phoot nahi
ek dali par reh kar jaise
phool juda hai paat juda
bura nahi gar yuhi watan me
dharm juda ho jaat juda
apne watan me
wahi hai jab quran ka kehna
jo hai ved puran ka kehna
phir yeh shor sharaba kyun hai
itna khoon kharaba kyun hai
apne watan me
sadiyon tak is desh mein baccho
rahi hukumat gairon ki
abhi talak ham sab ke muh par
dhool hai unke pairo ki
ladwao aur raj karo
ye un logo ki hikmat thi
un logo ki chal me aana
ham logo ki zillat thi
ye jo bair hai ek dooje se
ye jo phoot aur ranjish hai
unhi videshi aakaon ki
sochi samjhi bakhshish hai
apne watan mein
kuch insaan brahman kyu hai
kuch insaan harijan kyu hai
ek ki itni izzat kyu hai
ek ki itni zillat kyu hai
dhan aur gyan ko
taqat walo ne apni jageer kaha
mehnat aur gulami ko
kamzoro ki taqdeer kaha
insano ka ye batwara
vehshat aur jahalat hai
jo nafrat ki shiksha de
wo dharma nahi hai laanat hai
janam se koi neech nahi hai
janam se koi mahan nahi
karam se badh kar kisi manushya ki
koi bhi pehchan nahi
ab to desh me azadi hai
ab kyu janta fariyadi hai
kab jayega daur purana
kab ayega naya zamana
sadiyon ki bhookh aur bekari
kya ek din me jayegi
is ujde gulshan par rangat
aate aate ayegi
ye jo naye mansube hai
aur ye jo nayi tamire hai
aane wale daur ki kuch
dhundhli dhundhli tasvire hai
tum hi rang bharoge inme
tum hi inhe chamkaoge
navyug aap nahi aayega
navyug aap nahi aayega
navyug ko tum laoge
Awesome Mohammed Rafi Sahab & Asha. There is always a message in Sahir
Ludhiyanvi's songs. And most of these type of songs were sung by Great
Mohammed Rafi Sahab. This song is from - "DIDI". Prince Lalit Bhambhani
Atlanta, Georgia ( USA )