hamse ye dil kehta hai, dilbar ke paas na jana
hamse ye dil kehta hai, dilbar ke paas na jana
diwane kar dete hai auro ko bhi diwana
hamse ye dil kehta hai
najdik tumhare aake hamne bhi yahi hai jana
diwane kar dete hai auro ko bhi diwana
hamse ye dil kehta hai
hamko hai yaad sanam tum
aksar aahe bharte the
hamko hai yaad sanam tum
aksar aahe bharte the
ab pehchana hamne, tum aisa kyu karte the
ek roz thadap ke tumne, hamko bhi tha tadpana
diwane kar dete hai auro ko bhi diwana
hamse ye dil kehta hai
vo duniya kyu na chode, tum jisko paas bulao
vo duniya kyu na chode, tum jisko paas bulao
vo rasta kyu na bhule tum jisko raah batao
jo jaam ko hath lagaye
vo kyu na ho mastana
diwane kar dete hai auro ko bhi diwana
hamse ye dil kehta hai
nadaan the ham jo tumko, ham parvana kehte the
nadaan the ham jo tumko, ham parvana kehte the
ham aapke naam se hi apna afsana kehte the
hamko bhi sama banke is aag me tha jal jana
diwane kar dete hai auro ko bhi diwana
hamse ye dil kehta hai
hamse ye dil kehta hai
dilbar ke paas na jana, hamse ye dil kehta hai
diwane kar dete hai auro ko bhi diwana
hamse ye dil kehta hai
SINGERS: MAHENDRA KAPOOR & ASHA.
PERFORMER: CHANDRASHEKHAR & MUMTAZ
FILM: "DIL DIWANE" = 1965.
Film cast: Chandrashekhar, Mumtaz, Bhagwan, Iftekhar, Anwar, Agha, Maruti,
Helen, Rajan Haksar
Singer: Asha Bhosle, C. Ramchandra, Mahendra Kapoor
Lyricist: Anand Bakshi
Music Director: C Ramchandra
Film Director: Bhagwan