Video of this song from youtube
Lyrics of Huzurevaalaa Jo Ho Ijaazat To Ham Ye Saare Jahaan Se Kah Den - हुज़ूरेवाला, जो हो इजाज़त तो हम ये सारे जहाँ से कह दें
huzurevaala, jo ho ijaazat
to ham ye saare jahan se kah de
huzurevaala, jo ho ijaazat
to ham ye saare jahan se kah de
tumhari adaao pe marte hai ham
ye kisne kaha hai ki darte hai ham
huzurevaala, jo ho ijaazat
to ham ye saare jahan se kah de, huzurevaala

kyo na kah de mohabbat khuda hai
ye haqiqat nahi hai to kya hai
kyo na kah de mohabbat khuda hai
ye haqiqat nahi hai to kya hai
o dil vaale daav laga le
kar diya dil ko tere havaale
bada lutf chhup chhup ke jalne me hai
maza tir khaake sambhalne me hai
huzurevaala, jo ho ijaazat
to ham ye saare jahan se kah de
tumhari adaao pe marte hai ham
ye kisne kaha hai ki darte hai ham, huzurevaala

dekhiye to zara muskura ke
kaun baitha hai pahlu me aake
dekhiye to zara muskura ke
kaun baitha hai pahlu me aake
o dil vaale daav laga le
kar diya dil ko tere havaale
ye nichi nigaahe gazab kar gai
pata na chala zulm kab kar gai
huzurevaala, jo ho ijaazat
to ham ye saare jahan se kah de
tumhari adaao pe marte hai ham
ye kisne kaha hai ki darte hai ham
huzurevaala, jo ho ijaazat
to ham ye saare jahan se kah de, huzurevaala
lyrics of song Huzurevaalaa Jo Ho Ijaazat To Ham Ye Saare Jahaan Se Kah Den
Comments on song "Huzurevaalaa Jo Ho Ijaazat To Ham Ye Saare Jahaan Se Kah Den"
Dusi shivram on Monday, June 23, 2014
those unique pieces on the saxophone at the start are fantastic. I wish if
I could know the name of the artist who played it.. I bow down before you
sir. what a combination , helen ji, o.p.nayyar sahab.
.and those great words of Ajij kashmiri. Alas !!!!! we
have lost poetry today. 
Vishwanathan Aiyer on Saturday, September 08, 2012
This is one of the beautiful composition of OP Nayyar which will be
evergreen in our mind.. Asha and minoo have sung beautifully . The same is
excellent duet. Thanks to both of the singers.
Deepak Goswami on Monday, January 16, 2012
There is a vast difference in the song, the song available in the market
and this one has a lot of variation. but this one is more beautiful, the
lahja is extremely good .
YTsongs on Tuesday, August 13, 2013
both were so alike.. remember getting confused as a kid! nice song..
listening it for the first time..
Anand hi Anand on Sunday, May 26, 2013
I think the man with guitar in hand is Manohar Deepak, Dance Director and
husband of Madhumati. The couple were part of a troop by Ajanta Arts Films
of Sunil Dutt- Nargis to entertain jawans on borders in sixties .
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Yeh Raat Phir Na Ayegi (1966)
Biswajeet, Sharmila Tagore, Mumtaz, Asit Sen, Prithviraj Kapoor, Sailesh Helen, Helen, B M Vyas, MadhumatiAsha Bhosle, Mahendra Kapoor, Mohammed RafiAziz Kashmiri, S H BihariO P NayyarBrijYeh Raat Phir Na Ayegi at IMDB      Yeh Raat Phir Na Ayegi at YouTube     |    Yeh Raat Phir Na Ayegi at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type