insaan khilona hai haalat ke haath ka
insaan khilona hai haalat ke haath ka
khudgarz hai bedard hai ye duniya
yahan mol nahi jazbaat ka
insaan khilona hai haalat ke haath ka
do gaj jageh nahi de sakti
jane hua hai kya dharti ko
do jag jageh nahi de sakti
do gaj jageh nahi de sakti
kandha dene wala nahi hai
koi apno ki arthi ko
ab kya bharosa ho logon ki baat ka
khudgarz hai bedard hai ye duniya
yahan mol nahi jazbaat ka
insaan khilona hai haalat ke haath ka
bin karan jaa le le kisi ki
aisa koi haewaan na hoga
bin karan jaa le le kisi ki
aisa koi haewaan na hoga
jitna zaalim aaj ka insaa
itna to shaetaan na hoga
aadam hua dushman aadam ki zaat ka
khudgarz hai bedard hai ye duniya
yahan mol nahi jazbaat ka
insaan khilona hai haalat ke haath ka
simat raha hai pyaar ka daaman
phele hai nafrat ke saae
simat raha hai pyaar ka daaman
phele hai nafrat ke saae
kya jane kab kiska sapna
sachchai se takra jaae
na maut ki hai khabar na pata hayaat ka
khudgarz hai bedard hai ye duniya
yahan mol nahi jazbaat ka
insaan khilona hai haalat ke haath ka
ye kaisa bandhan hai jisne ye kaisa bandhan hai jisne
pyar diya aur sab kuch chheena
ye kesa bandhan hai jisne
pyar diya aur sab kuch chheena
saanse hi jab khatm ho gayi
tab humko ayaa hai jeena
aya janaaza banke sapna baraat ka
khudgarz hai bedard hai ye duniya
yahan mol nahi jazbaat ka
insaan khilona hai haalat ke haath ka