Lyrics of Insaan Kya Jo Kaam Kisi Aur Ke Naa Aasake - इंसान क्या जो काम किसी और के ना आसके
paida sabhi ko ek hi bhagwan ne kiya
chote bade ka fark to insan ne kiya
paida sabhi ko ek hi bhagwan ne kiya
chote bade ka fark to insan ne kiya
dil ka hi jo gfarib ho wo kya amir ho
dil wo hai jisne dusro ka dard le liya
dil wo hai jisne dusro ka dard le liya
wo hi hai bada gair ko bhi jo gale laga saka insan kya
insan kya jo kam kisi or ke na sake insan kya
suraj sabhi ko deta hai ek jajsi roshni
sabke liye hai ek si chanda ki chandni
suraj sabhi ko deta hai ek jaisi roshni
sabke liye hai ek si chanda ki chandni
malik sabhi ko dekhta hai ek najar se
kyu hum hi jat pat ki hai dekhte kami
kyu hum hi jat pat ki hai dekhte kami nadan hai wo
nadan hai wo jiski samjh me ye bhi na sake insan kya
insan kya jo kam kisi or ke na sake insan kya
le dekh aaj kaun tere kam aa gaya
tere bujhe chirag ko fir se jala gaya
le dekh aaj kaun tere kam aa gaya
tere bujhe chirag ko fir se jala gaya
apne the jo apni ki na bund de sake
jo gair tha wohi tujhe amrit pila gaya
jo gair tha wohi tujhe amrit pila gaya pathar hai agar
pathar hai agar ab bhi ye bhed ma mita sake insan kya
insan kya jo kam kisi or ke na sake insan kya