Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.25 - 4 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Inshaa Ji Utho Ab Kuch Karo - इंशाजी उठो अब कूच करो
ishaaji utho ab kuch karo
is shahar me ji kaa lagaanaa kyaa
ishaaji utho ab
vahashi ko sukun se kyaa matlab
vahashi ko sukun se kyaa matlab
jogi kaa nagar me thikaanaa kyaa
ishaaji utho ab kuch karo

is dil ke daridaa daaman me
dekho to sahi, socho to sahi
is dil ke daridaa daaman me
dekho to sahi, socho to sahi
jis jholi me sau chhed hue
jis jholi me sau chhed hue
us jholi ko failana kyaa
ishaaji utho ab kuch karo

shab biti chaand bhi dub chalaa
shab biti chaand bhi dub chalaa
shab biti chaand bhi dub chalaa
shab biti chaand bhi dub chalaa
hum to charaage avval shab hai
hum to charaage avval shab hai
avval shab bujh jaaye
tum bhi aana aakhire shab tak
deep se deep jalaye rakhna

shab biti chaand bhi dub chalaa
zanjir padi darvaaze pe
kyo der gaye ghar aaye ho
kyo der gaye ghar aaye ho
sajani se karoge bahaanaa kyaa
ishaaji utho ab kuch karo

us husn ke sucche moti ko
hum dekh sake par chhu na sake
us husn ke sucche moti ko
hum dekh sake par chhu na sake
us husn ke sucche moti ko
hum dekh sake par chhu na sake
us husn ke sucche moti ko
hum dekh sake par chhu na sake
tum naa aaoge to marne ki hai sau takbire
tum naa aaoge to marne ki hai sau takbire
maut kuch tum ko nahi ho ke bula bhi na sako

us husn ke sucche moti ko
hum dekh sake par chhu na sake
jise dekh sake par chhu na sake
jise dekh sake par chhu na sake
vo daulat kya vo khajana kya
ishaaji utho ab kuch karo
is shahar me ji kaa lagaanaa kyaa
ishaaji utho ab

vahashi ko sukun se kyaa matlab
vahashi ko sukun se kyaa matlab
jogi kaa nagar me thikaanaa kyaa
ishaaji utho ab kuch karo
ishaaji utho ab kuch karo
ab kuch karo, ab kuch karo
ab kuch karo, ab kuch karo
ab kuch karo, ab kuch karo
ab kuch karo, ab kuch karo
ab kuch karo, ab kuch karo
ab kuch karo, ab kuch karo
ab kuch karo, ab kuch karo
is shahar me ji, is shahar me ji
is shahar me ji kaa lagaanaa kyaa
ishaaji utho, ishaaji utho, ishaaji utho
lyrics of song Inshaa Ji Utho Ab Kuch Karo
Comments on song "Inshaa Ji Utho Ab Kuch Karo"
Nazim Ahmed Sayed on Thursday, April 30, 2015
woh jo kehte hain na ke achhe ashaar ko yad karni ki zaroorat naheen hoti,
woh khud bakhud yad ho jate hain. Insha ji ki khubsoorat takhleeq, ek baar
suni aur yad ho gayee.. aur Ustaad amanat Ali Sahab ne USTAAD hone ke haq
bakhoobi ada kar diya.. Allah unhen karvay karvat Jannat naseeb kare
(Aameen)..Kitni pyari awaaz, aur alfaaz ki adayegi ka khoobsurat fun... iss
ghazal mein unhon ne alfaaz ki jo adayegi ki hai lajawab hai.. jaise " iss
shaher mein dil ko LAGAANA kya... yeh jo unhon ne LAGAANA lafz ki adayegi
ki hai uss mein Hasrat, Dard, Runj aur Gham ki aamezish hai... mujhe
yaqeen hain ki mera yeh tabsarah padh kar aap iss ghazal ko dobarah sunne
par majboor ho jayenge... aur aakhir mein main CHEECHEEPIA ka mashkoor hoon
jinhon ne iss khubsoorat nageene ko hum tak pahunchaya... jazakallah.
cheecheepia on Friday, February 26, 2010
Wonderful didi you are taking over the ghazal language like storm and
enjoying much more than before and getting familiar with great legends of
ghazal. Unfortunately he passed away not long after this recording and left
behind great music which will go on forever. I am glad that you liked his
music very much. Thanks for watching and writing beautiful
words.regards:khalid
a9r11 on Sunday, May 17, 2009
insha ji utho aab koch karo is shehar main ji ko lagana kiya? wehshi ko
sakoon se kiya matlab jogi ka nagar main thikana kiya is dil kay darida
daman main dekho to sahi socho to sahi jis jholi main so chayd hoay us
jholi ka phaylana kiya shab beti chand bhi doob chala zanjeer pari darwazay
main kion dair gaey gher aey ho sajni se karo bahana kiya
AlHaj Said on Monday, October 22, 2012
Bann me jaker wisram lena wo to Jannat me wisram lena baraber hein,our
Diwana ko Baat karne ke liye time bhi Nahin hota wo to mashuka ke sath
sapne me duba huwa hota hein ye to bhi achi baat our bahetar zindagi ka
time bitana our kya bahetar rasta hota hein.Agar koi nahi manta to Diwana
hoker dokho!
AlHaj Said on Friday, February 10, 2012
If you dont like this song to Samundar me jaa ke dubo,ya kamse kam agar ye
gana pasand nahi to marne se darta ho to samundar me jake salty pani
piyo.Kyun ke tum Ye kisam ka Ghazal ka Dusman ho..to marne ya salty pani
pike leto.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Non-Film
Pankaj Mullick, Lata Mangeshkar, Malika Pukhraj, Hemant Kumar, Sachin Dev Burman, Kanan DeviAhmed Faraz, Seemab Akbarabadi, MeerabaiPankaj Mullick, K Mahavir, Sachin Dev Burman, Hridaynath Mangeshkar, Shobha Gurtu
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type