is baar jab chhoti si bachchi
mere paas apni kharoch leke aayegi
main use fu fu kar nahi bahlaaunga
main panpne dunga uskki tish ko is baar
is baar jab main chehro par dard likha dekhunga
nahi gaaunga giit pida bhulane wale
dard ko risne do utarne do
andar gahre is baar nahi
is baar na hi marham uthaunga
na hain rui ke thaahe, aur nahi kahunga
tum aankhe band kar lo
gardan udhar kar lo
main ghav par marham lagaataa hun
dekhne dunga sabko ham sabko
khule nange ghaav is baar nahi
is baar jab uljhane dekhunga
chhatptahat dekhunga
nahi daudunga uljhi dor lapetne
uljhne dunga jujhne dunga
jabtak uljh sake is baar nahi
is baar karm ka havala dekr
nahi uthaunga aujaar
nahi karunga fir se ek nayi shuruaat
nahi banunga mishaal, ek karm yogi ki
nahi aane dunga zindagi ko
aasani se patri par
utrne dunga use kichad me
tedhe medhe raaston pe
nahi sukhne dunga divaron pe laga khun
halka nahi hone dunga uska rang
is baar nahi banne dunga use aisa laachaar
ki paan ki pik
aur khun ka fark hi khtma ho jaye
is baar nahi
is baar ghaav ko dekhna hain
gaur se thoda lambe waqt tak
kuchh faisale aur fir hausale
kahin to suruaat karni hi hogi
is baar yahi tay kiya hain