jaye kaha bachke koi, bachke koi jaye kaha
hai ye gunha hoga sansar
julm ki aag jal rahi kaisi ye lut yaha waha
jaye kaha bolo is paar ya us paar, is paar ya us paar
gulshan chup chhayi virani, suni manjar kehta kahani

nafrat ki aandhi paap ka samandar
insaniyat nahi hai aadmi ke andar
aadmi hi aadmi ke hai yaha pe julmo ka shikar
julm ki aag jal rahi kaisi ye lut yaha waha
jaye kaha bolo is paar ya us paar, is paar ya us paar
behte aansu kaun ye puchhe, hai ye moti kaun ye soche

aachal hai suna, mamta roti
chhin li kisne aankho ki jyoti
kisase kahe, kaun sune hai ye lutero ka bazar
julm ki aag jal rahi kaisi ye lut yaha waha
jaye kaha bolo is paar ya us paar, is paar ya us paar
samay ki dhara, lehre tufani pehni hui yaade purani

pyar ke mausam sapno mein kho gaye, dard ke rishte apno se ho gaye
jiye koi kaise yaha, ho jaha na rishto ka aadhar
julm ki aag jal rahi kaisi ye lut yaha waha
jaye kaha bolo is paar ya us paar, is paar ya us paar
jaye kaha bachke koi, bachke koi jaye kaha
hai ye gunha hoga sansar
julm ki aag jal rahi kaisi ye lut yaha waha
jaye kaha bolo is paar ya us paar, is paar ya us paar
is paar ya us paar is paar ya