Lyrics of Is Taqdir Ke Aage Koi Tadbeer Chhalti Hai - इस तक़दीर के आगे कोई तदबीर चलती हैं
is takdir ke aage koi tadbeer chalti hai
agar chalti hai dunia me to
bas takdir chalti hai
is takdir ke aage jhuk gaye
is takdir ke aage jhuk gaye
muflish or amir
dunia walo is dunia me sabse badi takdir
dard bhari ek suno kahani
is takdir ne ki manmani
katil thahraya nirdosh ko
bhej diya fir kale pani
solaha baras ke bad hi tuti
solaha baras ke bad hi tuti
kaidi ki janjir
dunia walo is dunia me sabse badi takdir
beta bap mile muskil se
bichhad gaye aapas me milke
bap ke dil me apne khun ki
bap ke dil me apne khun ki
jaag uthi taasir
dunia walo is dunia me sabse badi takdir
lakho hi arman hai dil me
khushiyo ke tufan hai dil me
par usko malum nahi hai
par usko malum nahi hai
ruth gayi takdir
dunia walo is dunia me sabse badi takdir
apni hi santan se koi aaj hua anjan hai koi
jan pahchan hui na lekin
jan pahchan hui na lekin
laga kaleje teer
dunia walo is dunia me sabse badi takdir
Film cast: Karan Dewan, Shyama, Asha Mathur, Madan Puri, Helen, S K Prem
Singer: Geeta Dutt, Mohammed Rafi, Shamshad Begum
Lyricist: Kuldeep Singh Chand, Verma Malik
Music Director: Dhaniram
Film Director: A S Arora