is zamane me hai badnasibi buri
badnisibi se bhi ye garibi buri
bik gayi sharam ki ek chilman thi jo
kal talak shahibo dil ki dhadkan thi jo
aaj wo ghunghru ki tarah ban gayi
mai khata ban gayi mai saja ban gayi
mai khata ban gayi mai saja ban gayi
mai to thi ek dua baddua ban gayi
mai to thi ek dua baddua ban gayi
mai khata ban gayi mai saja ban gayi
mai to bachpan ki thi ek kahani abhi
mai to bachpan ki thi ek kahani abhi
mujhpe aayi na thi ye jawani abhi
meri takdir yu meri dusman bani
na mai sajni bani na mai dulhan bani
usse pahle, usse pahle hi mai dilruba ba nayi
mai khata ban gayi mai saja ban gayi
mai to thi ek dua baddua ban gayi
mai khata ban gayi mai saja ban gayi
jane kis bhul ki yad khoyi hu mai
jane kis bhul ki yad khoyi hu mai
yad karke ise kitna royi hu mai
sochti hu kabhi kya mai insan hu
ayine dekhke mai to hairan hu
kya thi ye , kya thi ye jindagi or kya ban gayi
mai khata ban gayi mai saja ban gayi
mai to thi ek dua bad dua ban gayi
mai khata ban gayi mai saja ban gayi
mere sar pe bade sakht ilzam hai
mere sar pe bade sakht ilzam hai
mere dil pe likhe saikdo nam hai
na kisi ne kiya pyar mujhse kabhi
na kisi se kiya pyar maine kabhi
mai kis tarah, mai kis tarah bewafa ban gayi
mai khata ban gayi mai saja ban gayi
mai to thi ek dua bad dua ban gayi
mai khata ban gayi mai saja ban gayi