Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.33 - 3 votes
Zulfi Syed
Video of this song from youtube
Lyrics of Ishk Kee Daastaan Saaree Mehfil Sune - इश्क की दास्ताँ सारी महफ़िल सुने
dil ke armano ki shamma jalaaye baithe hain
unki tasvir ko dil mai chhupaaye baithe hain
ishk ki daastaan saari mehfil sune
ishk ki daastaan saari mehfil sune
ishk dil mai chhupaana jaruri nahi
ishk ki daastaan saari mehfil sune
ishk dil mai chhupaana jaruri nahi

ishk ehsaas hain, dil ki aawaaj hain
ishk ehsaas hain, dil ki aawaaj hain
sun le saara jamaana jaruri nahi
ishk ehsaas hain, dil ki aawaaj hain
sun le saara jamaana jaruri nahi

ishk dil mai rahega toh ghut jaayega
ishk dil mai rahega toh ghut jaayega
yu hi tadpega, machlega, mit jaayega
yu hi tadpega, machlega, mit jaayega
ishk ko yu mitaana jaruri nahi
ishk ko yu mitaana jaruri nahi

ishk mitata nahi hain mehakata hai yeh
ishk mitata nahi hain mehakata hai yeh
ishk shola hain dil mai dehakata hain ye
dehakata hain ye, dehakata hain ye
ishk shola hain dil mai dehakata hain ye
sabka daaman jalaana jaruri nahi
sabka daaman jalaana jaruri nahi

ishk elaan hain, ishk tufaan hain
ishk elaan hain, ishk tufaan hain
tauba tauba na samajhe woh naadaan hain
tauba tauba na samajhe woh naadaan hain
aag dil mai dabaana jaruri nahi
aag dil mai dabaana jaruri nahi

ishk dil ke dhadakne ki pehchaan hain
ishk dil ke dhadakne ki pehchaan hain
ishk bebaak ho
ishk bebaak ho jaaye badnaam hain
ishk bebaak ho jaaye badnaam hain
hal-e-dil yu sunana jaruri nahi
hal-e-dil yu sunana jaruri nahi

ishk koyi raaj nahi, ishk aawaaj nahi
ishk khaamosh nahi, ishk behosh nahi
ishk gumnaam na ho, ishk badnaam na ho
ishk duniya ko dikha le
unki aankho me, aankho me, unki aankho me chupa le
unke dil me bhi vajah hai
khul ke jine mai maja hain, ada hain nasha hain
lyrics of song Ishk Kee Daastaan Saaree Mehfil Sune
Comments on song "Ishk Kee Daastaan Saaree Mehfil Sune"
Desi4evah on Monday, January 10, 2011
@Ebrahim0india Bhai, it was a flop. Check the reviews and ratings. Poor cinematography, poor execution of emotions. Were they thinking of making another Mughal-e-azam or SRK wali Devdas? That wasn't happening...

I feel certain people should stick to their original talents and not damage and play with audience emotions. I mean, this was a huge leap - Taj Mahal is what we're talking about!

Gadhe ne sara maza chaupat kar diya aur paise bhi duba diye.
Desi4evah on Sunday, January 23, 2011
@Ebrahim0india I am sorry I think I misread. Sorry about that. Yes, I agree, the music was a hit. :)
Ebrahim0india on Monday, January 10, 2011
@Desi4evah
Film was an instand flop but music composed by Naushad the legendary music director from Mughal-e-azam.The film was a most expensive budget film of the time by Akbar Khan.
ror 48 on Friday, March 11, 2011
bretty actress.. beutifull song .. how come we cant see in these days that
kind of facinating actresses on the indian screen? all with plastic
surgeries and still no match !
Ebrahim0india on Sunday, January 23, 2011
@Desi4evah Bro I'm not saying that it was a hit!I'm just appreciating music and honestly music was CLASS :)
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Taj Mahal (2005)
Kabir Bedi, Manisha Koirala, Zulfi Syed, Arbaaz Khan, Kim Sharma, Soniya Jehan, Pooja Batra, Nigar Khan, Milind GunajiHariharan, Preeti Uttam, Ajoy ChakrabartySyed Gulrez, Naqsh LyallpuriNaushadAkbar KhanAkbar KhanTaj Mahal at IMDB      Taj Mahal at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type