ishq jeena di
ishq jeena di, ruh vich rajya
wo hi rab ko pyare hai
jism to aate jate hai
jism to aate jate hai
ruho ke khel nyare hai
ishq jeena di
dil par rakh lo hath
shuru karta hu prem kahani
jise har patta jane, jise har buta jane
jaise tum ho, jaise tum ho
aise hi do phul khile the
zarra zarra mahak utha tha
jaise hi dil, dil se mile tha
ye aashiqi mashuqi ka fasana hai
kyu aaj tak jag nahi jana hai
yaar, yaar ke kaleje ka diwana hai
kyu aaj tak jag nahi jana hai
yaar, yaar ke kaleje ka diwana hai
ye aashiqi mashuqi ka fasana hai
ishq jeena di
kudrat ne apne hatho se
unko tarasha jajbaato se
makhmal se masum the chehre
aankho me the khwab sunhare
hontho se the geet baraste
pyar ki dhun pe dil the dhadhkate
dil the dhadhkate, dil the dhadhkate
ye geet nahi, pyar ka khazana hai
ye aashiqi mashuqi ka fasana hai
yaar, yaar ke kaleje ka diwana hai
kyu aaj tak jag nahi jana hai
yaar, yaar ke kaleje ka diwana hai
ye aashiqi mashuqi ka fasana hai
ishq jeena di
wo dono jis din na milte
chand aur suraj bhi na nikalte
ruk ruk kar chalti thi hawaye
ho jati thi maun dishaye
hone lage yu ghar ghar charche
pyar ko lag gayi haye najar re
haye najar re, haye najar re
ye dard me duba nazrana hai
ye aashiqi mashuqi ka fasana hai
yaar, yaar ke kaleje ka diwana hai
kyu aaj tak jag nahi jana hai
yaar, yaar ke kaleje ka diwana hai
ye aashiqi mashuqi ka fasana hai
ishq jeena di
mashuka ne kaul diya tha
ruho se paigam liya tha
aashiq ne bhi ishq kiya tha
apne rab ka naam liya tha
jag ne us jodi ko toda
un dono ne jag hi chhoda
jag hi chhoda, jag hi chhoda
jane deke nibhaya yarana hai
ye aashiqi mashuqi ka fasana hai
yaar, yaar ke kaleje ka diwana hai
kyu aaj tak jag nahi jana hai
yaar, yaar ke kaleje ka diwana hai
ye aashiqi mashuqi ka fasana hai
ishq jeena di
ishq jeena di, ruh vich rajya
wo hi rab ko pyare hai
jism to aate jate hai
jism to aate jate hai
ruho ke khel nyare hai
ishq jeena di