charon taraf udaasi thi bechain thi hawa
ek roz us makan se mera gujarna hua
aisa laga kabar me karwat kisi ne li
dekha jo maine mud ke to aane lagi sada
ishk na kariyo koi ishk na kariyo koi tauba tauba
ishk na kariyo koi tauba tauba ishk na kariyo koi
pahle fasaya nain me usko bad me baitha roye
jite ji to chain na aaya marke bhi na soye
jite ji to chain na aaya marke bhi na soye
ishk na kariyo koi tauba tauba
ishk na kariyo koi tauba tauba ishk na kariyo koi
tuti hui si kabar thi wo us garib ki
gujri thi umar ishk me jis badnasib ki
maine uthaye hath jo padhne ko kafila
nikli mzaar se fir se wohi sada
ishk na kariyo koi tauba tauba
ishk na kariyo koi tauba tauba ishk na kariyo koi
ye na use laga kisi aurat ki kabar thi
dekha jo gor se jo mohabbat ki kabar thi
ek gumsada jawan tha baitha waha
girte the uske aasu to aati thi yahi sada
ishk na kariyo koi tauba tauba
ishk na kariyo koi tauba tauba ishk na kariyo koi
ek or kabar dekhi maine usi jagah
virani jiski dekh ke sadma mujhe hua
aankho me aasu aa gaye dil se utha dhua
ghabrake mai jo palta to aane lagi sada
ishk na kariyo koi alla meri tauba
ishk na kariyo koi alla meri tauba
ishk na kariyo koi tauba tauba
ishk na kariyo koi alla meri tauba ishk na kariyo koi tauba tauba