is waqt ke paanv me kaanta koi chubh jaye
is raat ko dhalne me kuch der to lag jaye
o is waqt ke paanv me kaanta koi chubh jaye
mehbub hai baaho me khushbu hai hawao me
ik dhup khil rahi hai is julf ki chhanv se
ae kash ke har lamha
ae kash ke har lamha
pahro ki umar paye ho
is waqt ke paanv me kaanta koi chubh jaye
is raat ko dhalne me kuch der to lag jaye
o is waqt ke paanv me kaanta koi chubh jaye
hontho se mere unke honth mil rahe hai
sholo pe jaise katre shabnam ke gir rahe hai
hontho se mere unke honth mil rahe hai
o sholo pe jaise katre shabnam ke gir rahe hai
dil ko lubhane wali
dil ko lubhane wali
khushbu badan se aaye o
is waqt ke paanv me kaanta koi chubh jaye
is raat ko dhalne me kuch der to lag jaye
o is waqt ke paanv me kaanta koi chubh jaye
la la ll la ll la la
llla llla lla
la la llla llla
do jism ek hokar baaho me kas gaye hai
rangin se kuch dhage aankho me bas gaye hai
itni hasi tanhai
itni hasi tanhai
phir aaye ya na aaye o