is zindagi me koi pal to aisa ho
is zindagi me koi pal to aisa ho
jo sirf tera mera ho
jisme koi tisara na ho
is zindagi me koi pal to aisa ho
shabd ho na lab hile
chahat ki sab kaliyan khile
shabd ho na lab hile
chahat ki sab kaliyan khile
khamoshi se khamoshi tak
fasale sab tay kare
chhupake mulakate kare
aankho se hum bate kare
koi sunne wala na ho
is zindagi me koi pal to aisa ho
tanhaiya mehaki hui
khwaishe behaki hui ho
tanhaiya mehaki hui
khwaishe behaki hui ho
tan ka chhalakta zaam ho
surmai si shaam ho
pyas ka manzar ho aisa
chand suraj deep jaisa
koi jalne wala na ho
is zindagi me koi pal to aisa ho
viraan tanha raahon me
ek dusre ki baahon me
viraan tanhaa raahon me
ek dusre ki baahon me
kuch is tarah kho jaye hum
duniya se door ho jaye hum
is zindagi ke us taraf
deewangi ke us taraf
koi dekhane wala na ho
is zindagi me koi pal to aisa ho
jo sirf tera mera ho
jisme koi tisara na ho
is zindagi me koi pal to aisa ho