ja ja re ja diwane ja ja ja re ja diwane ja
maine jo chaha tujhko apna banaya tujhko
ispe akadta hai kya ja re ja diwani ja
ja re ja diwani ja
maine ehsan kiya dil jo kurbaan kiya
badh-badh ke baate na bana
ja ja re ja diwane ja ja ja re ja diwane ja
bura hai mera gussa jawani ki kasam
mai shola ban ke tujhko jala dungi balam
hai bheja mera thanda nahi hai mujhe gam
mai pani banke tujhko bujha dunga sanam
itna gurur na kar mujhko majbur na kar
varna chakha dungi maja
ja ja re ja diwani ja ja ja re ja diwane ja
mai ban ke machaliya chupungi jal me
na aungi bedardi me tere bal me
laga ke mai bhi dori me kanta dil ka
fasa hi lunga tujhko bas ek hi pal me
na kar takrar mujhse dekhe hai lakho tujhse
apne tu shete na jata
ja ja re ja diwani ja ja ja re ja diwane ja
bade hi jahrile ye naina hai mere
mai nagan ban ke das lungi chhed na mujhe
bade hi jahrile ye naina hai mere
mai nagan ban ke das lungi chhed na mujhe
banegi jo tu nagan to mai bhi meri jaan
sapera banke kar lunga apne bas me tujhe
o dil ke chhor saiya yu na marod baiya
dil le ke aise na sata
ja re ja diwani ja ja re ja diwani ja
maine ehsan kiya dil jo kurbaan kiya
badh-badh ke baate na bana ja ja re ja diwane ja
Played in Binaaca Geetmala.