jab meri maut ka, wo nazara karenge
fir na dhokha kisi se, dobara karenge
jab meri maut ka, wo nazara karenge
fir na dhokha kisi se, dobara karenge
jab mera khun rang dega, unka zamir
jab mera khun rang dega, unka zamir
fir mujhe har pal, wo nihara karenge
jab meri maut ka, wo nazara karenge
bekafan kar do chehre, ko ek pal mere
dekh lene do unko, ab unki vafa
bekafan kar do chehre, ko ek pal mere
dekh lene do unko, ab unki vafa
chikh lene do unko, meri laash par
hone dp gam unhe bhi, meri maut ka
meri maut ka
gar wo royenge, maiyat pe aake meri
gar wo royenge, maiyat pe aake meri
fir mujhe khwaab me bhi pukara karenge
jab meri maut ka, wo nazara karenge
fir na dhokha kisi se, dobara karenge
baad mere unhe thaamne ke liye
meri chahat se vaakif kara de khuda
baad mere unhe thaamne ke liye
meri chahat se vaakif kara de khuda
apni saanso se main, dur ho to gai
unke dil se kabhi, main nahi hu juda
main nahi hu juda
jab mere ishq ka, sach wo dekhenge to
jab mere ishq ka, sach wo dekhenge to
fir mohabbat mujhi se, dobara karenge
jab meri maut ka, wo nazara karenge
fir na dhokha kisi se, dobara karenge
jab meri maut ka, wo nazara karenge
nazara karenge, nazara karenge