jab fagun rang jhamakte ho
tab dekh bahare holi ki
tab dekh bahare holi ki
jab fagun rang jhamakte ho
pariyo ke rang damakte ho
khum sheeshe jaam chhalakte ho
mehbub nashe me chhakte ho
jab fagun rang jhamakte ho
jab fagun rang jhamakte ho
nach rangili pariyo ka
kuch bheege taane holi ki
kuch table khadke rang bhare
kuch ghunghru taal chhnakte ho
jab fagun rang jhamakte ho
jab fagun rang jhamakte ho
munh laal gulabi aankhe ho
aur hatho me pichkari ho
us rang bhari pichkari ko
angiya par tak kar maari ho
sino se rang dhalakte ho
tab dekh bahare holi ki
jab fagun rang jhamakte ho
tab dekh bahare holi ki
tab dekh bahare holi ki
jab fagun rang jhamakte ho
jab fagun rang jhamakte ho
Urdu ki itni pure pronounciation or itna bemisaal sur bohot kum sunnay ko
milta hai. Main to fan ho gaya hoon Chhaya Ganguly ji ka. Simply amazing!