Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Jab Se Aayi Jawaani
3.20 - 5 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Jab Se Aayi Jawaani - जब से आई जवानी
jab se aai jawani, hui duniya diwani
mera ghar se niklna
mera ghar se niklna, muskil hua
baake albele chhore dale, chhup chhup ke dere
mera raste se chalna
mera raste se chalna, muskil huaa
jab se aai jawani, hui duniya diwani

anjane pan me angadai leke
ek din jo aina dekha
anjane pan me
jaldi se pahne, naye naye gahane
fir apna rup jara dekha
jaldi se pahne
fir maine jhumke, aina chum ke
chehare pe daal diya anchal
huye kya kya guman, karu kaise bayan
dil ka ek pal bahlna
dil ka ek pal bahlna, muskil huaa
jab se aai jawani, hui duniya diwani

us din na jane, kya dil me aai
banthan ke nikali jo ghar se
us din na jane
aage badhi to, takrai nazren
ik ajnabi ki nazar se
aage badhi to
ik pal ke bad jo, aya karib wo
jaag uthi pyar bhari halchal
usne pakda jo haath
muh se nikali na baat
mujhse mera sambhlna
mujhse mera sambhlna, muskil hua
jab se aai jawani, hui duniya diwani

har shaam unse, milne lagi main
jee bharke hone lagi baate
har sham unse
ye chandani thi, bas char din ki
fir aa gayi kali rate
ye chandani thi
dil mera tod ke, bechain chhod ke
aankho se huaa koi ojhal
nahi usko khayal, yaha ab hain ye hal
mera karvat badlna
mera karvat badlna, muskil hua
jab se aai jawani, hui duniya diwani
mera ghar se niklna
mera ghar se niklna, muskil hua
jab se aai jawani, hui duniya diwani
lyrics of song Jab Se Aayi Jawaani
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Insaaf (1966)
Dara Singh Randhawa, Praveen Chaudhary, Indira, Prithviraj Kapoor, Azad, Sunder, Tun Tun, Helen, Lalita PawarAsha Bhosle, Lata Mangeshkar, Usha Khanna, Johny WhiskyAsad BhopaliUsha KhannaRadhakantInsaaf at IMDB      Insaaf at YouTube     |    Insaaf at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type