jab se asli rup sabka
jab se asli rup sabka, maine dekha hain
ab koyi sadma mere dil par nahi lagta
ab koyi sadma mere dil par nahi lagta
dosto se na milo
dosto se na milo, taklif hoti hai
fayda hai pitth me, khanjar nahi lagta
fayda hai pitth me, khanjar nahi lagta
ha fayda hai pitth me, khanjar nahi lagta
fayda hai pitth me, khanjar nahi lagta
jab se asli rup sabka
inke chehre par lage rahte hai sau nakab
hum bhi samajh paye nahi, kaante hai ya gulab
ha inke chehre par lage rahte hai sau nakab
hum bhi samajh paye nahi, kaante hai ya gulab
har kadam par, yaad inke aate hai sitam
likhne baitho to banegi, in par ek kitab
in par ek kitab
yaaro ne jo bheje hain
yaaro ne jo bheje hain, wo phul chubhte hain
gair ka phenka hua, patthar nahi lagta
gair ka phenka hua, patthar nahi lagta
jab se asli rup sabka
pahle to har raaz me, hote hai ye shamil
dost ko gumrah kar ke, todte hai dil
pahle to har raaz me, hote hai ye shamil
dost ko gumrah kar ke, todte hai dil
phir sitam ye hai ke, humdardi bhi karte hai
waar wo karte hai jo, kar paye na kaatil
kar paye na kaatil
dosto ke naam se
dosto ke naam se, hum kaanp jate hain
dushmano ki dushmani se darr nahi lagta
dushmano ki dushmani se darr nahi lagta
jab se asli rup sabka
apne matlab ke siva, karte nahi ye baat
naapte hai paiso se, ye yaar ke haalat
o apne matlab ke siva, karte nahi ye baat
naapte hai paiso se, ye yaar ke haalat
inka kaam nikal jaye to, ho jate hai dur
kaise janenge bhala ye, auro ke jajbaat
auro ke jajbaat
kya kare hum dekhkar
kya kare hum dekhkar, duniya ki dilkashi
ab suhana koyi bhi manjar nahi lagta
ab suhana koyi bhi manjar nahi lagta
jab se asli rup sabka
jab se asli rup sabka, maine dekha hain
ab koyi sadma mere dil par nahi lagta
ab koyi sadma mere dil par nahi lagta
dosto se na milo
dosto se na milo, taklif hoti hai
fayda hai pitth me, khanjar nahi lagta
fayda hai pitth me, khanjar nahi lagta
are fayda hai pitth me, khanjar nahi lagta
fayda hai pitth me, khanjar nahi lagta
wht a beautiful song...