jab tak hai yeh chaand taare sanam
jab tak hai yeh chaand taare sanam
yun hi charche rahenge hamaare sanam
janmo ka bandhan hai tera mera
janmo ka bandhan hai tera mera
har janam mein rahenge tumhaare sanam
jab tak hai yeh chaand taare sanam
aashiq ki nigaahon mein shikaayat nahi hoti
keh de jo jubaan se wo mohabbat nahi hoti
yeh ishq toh ho jaaye hai ho jaaye hai aksar
iss ishq ko kehne ki jarurat nahi hoti
har janam mein mujhe ek hi kaam ho
mere honto pe hamdam tera naam ho
jis jagah dekhu tu mujhko aaye najar
har taraf ho tumhaare nazaare sanam
har taraf ho tumhaare nazaare sanam
jab tak hai yeh chaand taare sanam
yun hi charche rahenge hamaare sanam
janmo ka bandhan hai tera mera
har janam mein rahenge tumhaare sanam
jab tak hai yeh chaand taare sanam
jamaane ko tere mere pyaar ki
yaad aayengi baatein puraani suno
waqt bhi na jise ab mita paayega
teri meri prem kahaani sanam
ye charrg-e-muhabbat na bujh paayega
aur naam-e-mohabbat na mit paayega
hum rahe na rahe yeh jamaan magar
daastaan-e-mohabbat ko dohraayega
daastaan-e-mohabbat ko dohraayega
jab tak hai yeh chaand taare sanam
jab tak hai yeh chaand taare sanam
yun hi charche rahenge hamaare sanam
janmo ka bandhan hai tera mera
janmo ka bandhan hai tera mera
har janam mein rahenge tumhaare sanam
jab tak hai yeh chaand taare sanam
A TRUE EXAMPLE OF EXCELLENCE THE GREAT MUHAMMAD AZIZ SIR, Thanks for
uploading his classic.