jab tu khuda se mannat mange
usme her aur fer na kar
jab tu khuda se mannat mange
usme her aur fer na kar
mannat ko pura karne me
e bande tu der na kar
mannat ko pura na karna
bande ki nadani hai
wada khilafi hai ye khuda se
aur ye na farmani hai
mannat ko pura na karna
bande ki nadani hai
wada khilafi hai ye khuda se
aur ye na farmani hai
mannt ko jo todta hai
usse naraz khuda ho jata hai
uski nigaahe rahmo karam se
phir wo juda ho jata hai
mannat bhi wada hai ek khuda se
tod ke tu andher na kar
jab tu khuda se mannat mange
usme her aur fer na kar
puchhenge jab tujhse farishte
har mannat ka hisab
uske sawalo ka e bande
tu hi bata kya dega jabab
puchhenge jab tujhse farishte
har mannat ka hisab
uske sawalo ka e bande
tu hi bata kya dega jabab
jo tu farishto se kah dega
anjane me bhul gaya
tere bahane sun ke khuda fir
tujhse ho jayega khafa
bojh gunaho ka tu uthakar
apne sar ko zer na kar
jab tu khuda se mannat mange
usme her aur fer na kar