dongad gad ke parvat se, maiyaa aavaaj ye aati hain
dur se bhi jo yaad kare, tu usko paas bulati hain
he maa tere dwaare aayo re aayo re
he geet papihaa gaayo re gaayo re
jai maa bamleshwari
jai maa bamleshwari, tu jag ki hain paalan haar
usaki jholi bahr jaaye, jo aaye tere dwaar
usaki jholi bhar jaaye, jo aaye tere dwaar
jai jai maa bamleshwari, jai jai maa bamleshwari
teri kripa se hi ye maiyaa, nar naari sukh paaye
tere naam ka amrit pi ke, chale ye mast hawaaye
tu jag ki janani hain ambe, teri sabse unchi shaan
tu dati hain ham hain daas tere, maa rakhiyo hamaara dhayaan
dharti se amber tak hain
dharti se amber tak hain, teri hai jai jaikaar
usaki jholi bahr jaaye, jo aaye tere dwaar
usaki jholi bhar jaaye, jo aaye tere dwaar
jai jai maa bamleshwari, jai jai maa bamleshwari
chhota bada koi bhi nahi hain, sab hain ek samaan
jisko naam ka dhan mil jaaye, ban jaaye dhanwaan
jaise karam ho jinake maa, vaise hi paaye fal
jo likh diya vidhata ne, hota hain wo atal
tu hain bhwaani gauri satee, tu hain bhawaani gauri satee
mahima aprampaar
usaki jholi bahr jaaye, jo aaye tere dwaar
usaki jholi bhar jaaye, jo aaye tere dwaar
jai jai maa bamleshwari, jai jai maa bamleshwari
sahan huaa naa pita ke haatho, pati ka jab apmaan
krodh agni me tune maiyaa, de diye apane praan
shiv tera shav kandho pe, dhar taandav nit me khoye
parvat parvat kaanp uthe, aur chashme phut ke roye
kankar kankar se sunte hain, maa tere ham kisse
gir the kat ke yaha waha, tere paavan tan ke hisse
tune sach ka deep jalaya, praan apane maa deke
har koi teri jyoti me maiyaa, apane rab ko dekhe
wo dharti maa paavan hain jahaa, wo dharti paavan hain jahaa
maiyaa tera darvaar
usaki jholi bahr jaaye, jo aaye tere dwaar
usaki jholi bhar jaaye, jo aaye tere dwaar
bamleshwari jai mata ki
o saare bolo jai mata ki
o aake bolo jai mata ki
o gaake bolo jai mata ki
o jyota waali jai mata ki
o shera waali jai mata ki
o gaj ke bolo jai mata ki