jalta dil-e-naushad hain
jalta dil-e-naushad hain malum nahi kyon
fir lab pe teri yaad hain malum nahi kyon
hay lab teri yaad hain malum nahi kyon
ulfat ne aake chhin li mujhse meri khushi
aati hain jamaane ko mere haal pe hanshi
aati hain jamaane ko mere haal pe hanshi
ho ho mere haal pe hansi
duniyaa meri barbaad hain
duniyaa meri barbaad hain, malum nahi kyo
hay lab pe teri yaad hain malum nahi kyo
fir lab pe teri yaad hain malum nahi kyo
aati hain yaad mujhko beeti wo kahaani
pahalu me mere thi teri madhosh jawaani
pahalu me mere thi teri madhosh jawaani
ho ho madhosh jawaani
ab hampe ye bedaad hain
ab hampe ye bedaad hain, malum nahi kyon
hay lab pe teri yaad hain, malum nahi kyo
fir lab pe teri yaad hain, malum nahi kyo
kitana bhi chaaho karlo sitam hampe tum sanam
tujhko na bhulaayenge tere pyaar ki kasam
tujhko na bhulaayenge tere pyaar ki kasam
ho ho tere pyaar ki kasam
har saans me fariyaad hain
har saans me fariyaad hain, malum nahi kyon
hay lab pe teri yaad hain, malum nahi kyo
fir lab pe teri yaad hain, malum nahi kyo
jalta dil-e-naushad hain
jalta dil-e-naushad hain malum nahi kyon
fir lab pe teri yaad hain malum nahi kyon
hay lab teri yaad hain malum nahi kyon
Har saans main fariyad hai ,malum nahi kyun, phir lab pe teri yaad hai
malum nahi kyun.
Jalta dil-e-Nashad hai malum nahi kyun..
B N Bali ki dhun pe shayad Bali Jee hee ne gaya hai.Saharanpuri Jee ke
khubsurat bolon ko badi seedhi Saadi par pyari dhun main bandha hai Bali
Jee ne aur gaaya bhee umda hai .Wo ek aise ashiq his ki jinhe kuch bhee
nahi malum ki ye sab kya aur kyun ho raha hai.
Chacha Ghalib ne sahi farmaya hai ki..
Ishq ne Ghalib nikamma kar diya , varna admi hamm bhee the kaam ke.
Iss behad khoobsurat naghme ke liye Achcha sa Shukriya Ajay.