Lyrics of Janam Din Aaya, Mamta Ki Jyot Jagi - जन्म दिन आया आया ममता की ज्योत जागी
janam din aaya aaya mamta ki jyot jaagi
janam din aaya aaya mamta ki jyot jaagi
ke hansti rahe sada yu hi meri chaand taaro ki shahjadi
rango bhara gudiya ko joda pehna ke
rango bhara gudiya ko joda pehna ke
armaan ki kaliyo se angana sazake
matwali mamta ne apne dil ki shama jala di
janam din aaya aaya mamta ki jyot jaagi
ke hansti rahe sada yu hi meri chaand taaro ki shahjadi
taaro ka lekar tohfa chanda bhi aaya
ho taaro ka lekar tohfa chanda bhi aaya
rani ke layak humne kuchh bhi na paya
phir nanhi umar pe wari hokar apni umar mila di
janam din aaya aaya mamta ki jyot jaagi
FILM: "BAHARON ki MANZIL" = 1968.
Film cast: Dharmendra, Meena Kumari, Tun Tun, Rehman, Hashmi, Farida Jalal,
Anwar Hussan
Singer: Lata Mangeshkar
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Music Director: Laxmikant Kudalkar
Film Director: Y H Rizvi