bhool jao tamaam baaton ko
in khayaalon ko mehev kar daalo
ponch lo ashk apne daaman se
uljhe uljhe se baal suljha do
jao ab subah hone waali hai
jao ab subah hone waali hai
jao ab subah hone waali hai
ab na aansoo bahao jaane do
aao rukhsat hon muskuraate hue
ab na aansoo bahao jaane do
aao rukhsat hon muskuraate hue
daag rah jaayega mere dil par
rote dekha jo tumko jaate hue
jao ab subah hone waali hai
jao ab subah hone waali hai
khoon-e-hasrat chalak rahaa hai aaj
husn-e-giriya ke aabgeene se
khoon-e-hasrat chalak rahaa hai aaj
husn-e-giriya ke aabgeene se
choom kar mere sard honth ko
kheench lo rooh mere seene se
jao ab subah hone waali hai
jao ab subah hone waali hai
sar uthao zaraa idhar dekho
ik nazar aakhri nazar dekho
sar uthao zaraa idhar dekho
ik nazar aakhri nazar dekho
shamm-e-ummeed tum bhi gul kar lo
aarzoo maine phoonk daali hai
jao ab subah hone waali hai
jao ab subah hone waali hai
'The Master and His Magic' version.