o sarhadon me reh gaye hain
chand patte pyaar ke
sarhadon me reh gaye hain
chand patte pyaar ke
Jashn jeet kaa manaa lo
rooh apni haar ke
dhoop me hi yaad ayenge
din ye bahaar ke
dhoop me hi yaad ayenge
din ye bahaar ke
nafrat bhulaa kar jee lo
chaar din udhaar ke
phoolon ki panah se
maine churaya ek khayal
usme bhi chhupa tha
andekha sa ek sawaal
shor me jo dhund loge
sur tum sitaar ke
shor me jo dhund loge
sur tum sitaar ke
dekh paaoge phir tum
paar is diwaar ke
thame na bujhe hai
jaane kaisi hai ye pyaas
malhaar suna do
khuda se hai darkhwast
aasmaan ke taare bhi gar
de do tum utaar ke
aasmaan ke taare bhi gar
de do tum utaar ke
wo bhi bann ke reh jayenge
wajah ek daraar ke
sarhadon me reh gaye hain
chand patte pyaar ke
sarhadon me reh gaye hain
chand patte pyaar ke
Jashn jeet kaa manaa lo
rooh apni haar ke
dhoop me hi yaad ayenge
din ye bahaar ke
dhoop me hi yaad ayenge
din ye bahaar ke
nafrat bhulaa kar jee lo
chaar din udhaar ke
beautiful lyrics... aasmaan ke taare bhi agar dedo tum utaar ke, wo bhi
banke reh jaenge wajah ik daraar ke. so true and incredible...