om tryambakam yajamahe sugandhim pushtivardhanam
urvarukamiva bandhanan mrityomukshiya mamritat
kehta yeh pal khud se nikal jeete hain chal
jeete hain chal, jeete hain chal
gam musafir tha jaane de, dhup aangan me aane de
jeete hai chal, jeete hai chal, jeete hai chal
talvo ke niche hai thandi si ek dharti
kehti hai aaja daudenge
yaado ke bakso me zinda si khushbu hai
kehti hai sab pichhe chhodenge
ungliyo se kal ki ret behne de
aaj aur abhi me khud ko rehne de
kehta yeh pal khud se nikal jeete hain chal
jeete hain chal, jeete hain chal
ek tukda hasin chakh le, ik dali zindagi rakh le
jeete hain chal, jeete hain chal, jeete hain chal
hichki ruk jaane de, siski tham jaane de
is pal ki ye guzaarish hai
marna kyu jee lena, bundo ko pee lena
tere hi sapno ki baarish hai
paaniyo ko raste tu banaane de
roshni ke pichhe khud ko jaane de