jheel pe jaise naav chale
aahista aahista
baadal mein aise chand chhipe
kahne ko hai ye bhi chehra
chhod aaye pichhe hum kisko kaha
unko khabar hai ki hum hai yaha
aaye baharon mein mehkaai raah
phir milne aayenge kya
bas thodi duri ye rasta kahe
rukne lage fir chal diye
jab wo humein yu dilate hain, vaasta vaasta
rishte hum aise nibhate hain
raat se jaise koi subah
ab hai nazar mein ek aisa sama
lekar hi aayenge tumko yahan
anjaan raaho ke ajaan raahi
jayen to jayen kahan
tum ho salamat ye dil yun kahe
chahe mile ya na mile
dur se jo bulaenge to, aaja na aaja na
chahe sawari bhi na mile
ho sake to chal ke hi aana
Very few people will listen and like sifar songs because they are too
deep... my favorite album ever. songs deeper than Ghulzar's but simpler
than Javed Akhtar's