jhoka hawa ka aaj bhi julfe udata hoga na
tera duptta aaj bhi tere sar se sarkata hoga na
balo mei tere aaj bhi phool koi sajata hoga na
tera duptta aaj bhi tere sar se sarkata hoga na
jhoka hawa ka aaj bhi julfe udata hoga na
thanthi hawaye raat me tujhko thapkiyan deti hogi na
chand ki thanthak khab me tujhko leke to jati hogi na
suraj ki kirne subah ko teri ninde udati hogi na
mere khyalo me sanam khud se baate karati hogi na
mai dekhta hun chhup chhup ke tumhe mahsus krti hogi na
jhoka hawa ka aaj bhi julfe udata hoga na
kagaj pe meri tasvir jaisi kuchh to banati hogi na
ulat palat ke dekh ke usko ji bhar ke hansati hogi na
hanste hanste aankhe tumhari bhar bhar aati hogi na
mujhko thaka tha dhup me jisse aachal bhigoti hogi na
sawan ki rimjhim mera tarana yaad dilati hogi na
ak ak meri baate tumko yaad to aati hogi na
yaad to aati hogi na yaad to aati hogi na
kya tum mere in sab swalo ka
kuchh to jawab dogi na