zindagi se puchha aksar
tere khel ka kya hai matlab
zindagi ne kaha hanskar
na tha, na hai koi matlab
main karti hu, jo karti hu
yunhi
bachpan ki jismani chot
wo bahte huye aansu
pyar se simti huyi baahe
aur mamta ki khushbu
kabhi khushi ki gahrai
ghamo ka kabhi pahad
pahle pyar ka anokha ehsaas
sunte rahe dil ke alfaaz
pahle pyar ka anokha ehsaas
sunte rahe dil ke alfaaz
phir dil ka girna, tutna
bikhar jana
zindagi
tere safar me chalte jana
zindagi se puchha aksar
tere khel ka kya hai matlab
zindagi ne kaha hanskar
na tha, na hai koi matlab
main karti hu, jo karti hu
yunhi
Good one !!