jis dil ne kiya ishq
wo marne se nahi darta
jis dil ne kiya ishq
wo marne se nahi darta
mar jate hai do jism
magar ishq nahi marta
saiyaad se kah do ke
kare aur sitam humpe
saiyaad se kah do ke
kare aur sitam humpe
gam itne sahe humne
hans dete hai ab gam pe
jo ishq ka banda hai
jo ishq ka banda hai
fariyad nahi karta
mar jate hai do jism
magar ishq nahi marta
jis dil ne kiya ishq
wo marne se nahi darta
hai khun-e-shahida se
ye naam-e-wafa roshan
hai khun-e-shahida se
ye naam-e-wafa roshan
mit jate hai parwane
rahta hai deeya roshan
jal jata hai dil lekin
jal jata hai dil lekin
ek aah bhi nahi bharta
mar jate hai do jism
magar ishq nahi marta
jis dil ne kiya ishq
wo marne se nahi darta
humko nahi hai ye gam
kya baad-e-katal hoga
humko nahi hai ye gam
kya baad-e-katal hoga
duniya me mil na paye
jannat me milan hoga
hanske tabhi to aashiq
hanske tabhi to aashiq
suli pe hai ja chadhta
mar jate hai do jism
magar ishq nahi marta
jis dil ne kiya ishq
wo marne se nahi darta