jis ghar me dulhan banke aayi
us ghar se dulhan banke main chali
jis ghar me dulhan banke aayi
us ghar se dulhan banke main chali
ik raat shama ko jalna tha
ik raat shama ko jalna tha
afsos ke aadhi raat jali
jis ghar me dulhan banke aayi
bin soche bandhan baandha tha
bin soche bandhan baandha tha
kuch sochke bandhan tod diya
ye baag, ye maali kya jane
kyu phulo se munh mod liya
kal subah ka suraj bolega
kal subah ka suraj bolega
kyu waqt se pahle rata dhali
jis ghar me dulhan banke aayi
us ghar se dulhan banke main chali
jis ghar me dulhan banke aayi
hum chhod chale jis nagri ko
hum chhod chale jis nagri ko
us nagri wale shad rahe
nit nayi baharo se khele
khushal rahe aabad rahe
na inse shikayat, na shikwa
na inse shikayat, na shikwa
ye log bhale har baat bhali
jis ghar me dulhan banke aayi
us ghar se dulhan banke main chali
ik raat shama ko jalna tha
ik raat shama ko jalna tha
afsos ke aadhi raat jali
jis ghar me dulhan banke aayi
They don't make songs like this any more. Such a deep - strong meaning in
the lyrics of both songs. Both are very rare and hard to find. thanks, Ajay.