jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara
jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara
jiska rakshak ishwar usko kab kisne hai mara
jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara
ek shikari aapne ghar se le dhanush bann nikala bhai
chidiyo ka karne ke liye wadh van ki or chala bhai
vahan vraksh ki shakha par do panchhi sukh se rahte the
ek nar tha duji thi mada ek duje par marte the
dekha jab dono pakshin ko viyag prashan huaa bhari
jhat se bann chada liya wadh ki kar li taiyari
viyag par najar padi dono pakshi ghabraye
ab dono man soch rahe ab ud kar pran bach jaye
aasmaan par najar gayi to ang ang sab phul gaya
sahas dhiraj chhuta bhay se udna tak bhi bhul gaye
nabh main khooni baaz aur bhoomi par viyagh hatyara
jiska rakshak ishwar usko kab kisne hai maara
jis praani par kripa prabhu ki wo kab kisse hara
ab to pakshin ki aasha ka antim sahra chhut gaya
kah rahi hai nar se mada hey nath vidhata ruth gaya
ab bichhad jayege dono wo pal swami dur nahi
kuch rahe hum sath sath vidhi ko ye manjur nahi
maa kya dono pakshi mar gaye
nahi beta dono ne sache man se
prabhu ko yaad kiya
par leela dharti leela ko na koi hai pahchana
kaise raksha karta hai ye bhed koi na jana
ek vishdhar achanak jane kaise prakat hua
viyagh ko das liya buri tarha
pairo se uske lipat gaya
lakhsay hata ghabrahat se
ulti disha main teer gaya
ambar chakkar kaat raha
us pakshi baaz ko chir gaya
mara shikari sarp dansh se
bann ne baaz ko mara
jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara
jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara
jiska rakshak ishwar usko kab kisne hai mara
jis praani par krupa prabhu ki wo kab kisse hara