jiski lagi lagan bhagvan mein
jo duba hari ke dhyan mein
chahe badal gire chahe bijli gire
uska diya jalega tufan mein
jiski lagi lagan bhagvan mein
chahe badal gire chahe bijli gire
uska diya jalega tufan mein
jiski lagi lagan bhagvan mein
hai kahan chhupa vo kona
tere bhakto ke ghar mein jwala
tere bhakto ke ghar mein jwala
un par sankat kyun dola
jo jape tumahari mala
jo jape tumahari mala
kan kan mein chhupa hai rakhvala
vo swami hajar hath vala
vo swami hajar hath vala
vo chahe agar ye jwala
ban jayegi phoolo ki mala
ban jayegi phoolo ki mala
use kiska hai dar use kiski phikar
jo jhume hari ke gungaan mein
jski lagi lagan bhagvan mein
jo duba hari ke dhyan mein
chahe badal gire chahe bijli gire
uska diya jalega tufan mein
jiski lagi lagan bhagvan mein
ye suraj ye chand sitare sab chalte use ke ishare
sab chalte use ke ishare
vo chahe to ye angare ban jaye gagan ke tare
ban jaye gagan ke tare
ghadi sankat ki aaj vahi rakhega laaj
jiski mahima likhi hai puran mein
jski lagi lagan bhagvan mein
jo duba hari ke dhyan mein
chahe badal gire chahe bijli gire
uska diya jalega tufan mein
jiski lagi lagan bhagvan mein
nand ke lala he gopala din dayal re
nand ke lala he gopala din dayal re
radhe shyam radhe shyam