jitna saral hai aadmi utna kathin sansaar hai
keval kisi se aadmi ko aadmi se pyar hai
jivan mila jis par nasha hai maut ka chhaya hua
aur pran hai koi pathik kyu dwaar par aaya hua
aankhe lagi dhone charan mehmaan muskane laga
duniya rahi khamosh lekin aadmi gaane laga
aadmi gaane laga
jivan umeedo ka tuman aur mrityu tan ki har hai
keval kisi se aadmi ko aadmi se pyar hai
bulbul chaman ki ragini ban aadmi ke pas hai
aansu chhupati hu man bahla raha aakash hai
phir bhi kinhi majburiyo se man sambhal pata nahi
aajad panchhi saaj de khul kar kabhi gata nahi
khul kar kabhi gata nahi
dil ko kisi ko pyar karne ke liye lachar hai
keval kisi se aadmi ko aadmi se pyar hai