jiski khatir nain diwane
kitni raat na soye
meri tarah anmol raat vo
aakar koi na khoye
jiya se na nikli kasak jiya ki
jiya se na nikli kasak jiya ki
aisi ghabraai main to chhod aai sej piya ki
aisi ghabraai main to chhod aai sej piya ki
jiya se na nikli kasak jiya ki
aisi ghabraai main to chhod aai sej piya ki
wo raat jiska raha intjaar dono ko
ke dono karte hai ji jaa se pyaar dono ko
wo raat aai to kyo mil ke na hum mil paaye
ye baat puchhe hai dil baar baar dono ko
kya sochenge mere sajna mere is bartaav pe
marham rakhna to dur ve namak chhidak aayi ghaav pe
naino me hai jis raat ke sapne
aaj nahi vo bhag me apne
jiya se na nikli kasak jiya ki
jiya se na nikli kasak jiya ki
aisi ghabraai main to chhod aai sej piya ki
ho aisi ghabraai main to chhod aai sej piya ki
ye sej tere liye hai tu hi sajayegi
rahegi suni ke tu jab talak na aayegi
main maan lungi ke vo raat abhi nahi aai
vo raat aayegi jab tu mana ke laaun
kasam tumhe mere pyar ki
dosh na dena mere pyar ko
yunhi nahi koi todta apne kiye ikraar ko
kahne ko nahi ye majburi
sahni padegi aaj ye duri
jiya se na nikli kasak jiya ki
jiya se na nikli kasak jiya ki
aisi ghabraai main to chhod aai sej piya ki