jo ugta hai wo dhalta hai samay ka chakra chalta hai
arey manav sambhal ke chal samay karwat badlta hai

jo ugta hai wo dhalta hai
ye dekho suray ka jalwa subha ko jo nikalta hai

chamkta hai damkta hai magar saanjh ko dhalta hai
ye uthne aur girne ka sada hi khel chalta hai
arey manav sambhal ke chal samay karwat badlta hai
jo ugta hai wo dhalta hai
arey insa akad mat aaj tu apni bulandi par

na girte der lagti hai samay ki ek manjil par
vidhata ne likha jo lekh tale se na talta hai
arey manav sambhal ke chal samay karwat badlta hai
jo ugta hai wo dhalta hai samay ka chakra chalta hai
arey manav sambhal ke chal samay karwat badlta hai
jo ugta hai wo dhalta hai
jo singhasan pe baitha tha kiya karta tha manmani

wo nokar banke teri tarha chalta hai arey dhani
samay ke samne dar aadmi ka kuch na chalta hai
arey manav sambhal ke chal samay karwat badlta hai
jo ugta hai wo dhalta hai
lagan panchhi ki pinjar se jise ye tod na sakta

ye tuta hai ye tuta hai basera chhod na sakta
samay ki ghat kichad se yaha pankaj nikalta hai
arey manav sambhal ke chal samay karwat badlta hai
jo ugta hai wo dhalta hai samay ka chakra chalta hai
arey manav sambhal ke chal samay karwat badlta hai
jo ugta hai wo dhalta hai
Film cast: Shahu Modak, Nalini Chonkar, Ashish Kumar
Singer: Mukesh
Music Director: Avinash Vyas
Film Director: Dhirubhai Desai