kaato ki chubhan payi, phulo ka maja bhi

dil dard ke mausam me, roya bhi hansa bhi

aane ka sabab yaad, na jane ki khabar hai

wo dil me raha aur use tod gaya bhi
dil dard ke mausam me, roya bhi hansa bhi
kaato ki chubhan payi, phulo ka maja bhi
har ek se manzil ka pata puchh raha hai
har ek se manzil ka pata puchh raha hai
gumraah mere sath hua raahnuma bhi
dil dard ke mausam me, roya bhi hansa bhi
kaato ki chubhan payi, phulo ka maja bhi
gumnaam kabhi apno se jo gam huye haasil

kuch yaad rahe un me to kuch bhul gaya bhi
dil dard ke mausam me, roya bhi hansa bhi
kaato ki chubhan payi, phulo ka maja bhi
Finding this song is like finding an old friend for me...One of my most
favorite songs of any genre. Thanks Khurram, nice meeting you!